top of page

What Coachings Say About Memorizing UPSC Syllabus?

  • Writer: PrepDev
    PrepDev
  • Aug 3, 2024
  • 5 min read

Updated: Aug 11, 2024


Benifitsof remembering upsc syllabus
UPSC syllabus and coachings

All India rank 1 se lekar continuously rank 5 ne UPSC syllabus memorize ya usko sath rakhne ki advice de hai. Ye sirf 5 toppers nahi hai jo aisa keh rahe hai. Lagbhag lagbhag har wo candidate jo UPSC mains qualify karta hai, har wo ek candidate ye hi advice deta hai. Iske alawa India ki top coachings bhi aisa hi kehti hai.      


Top UPSC coachings ke according kafi saare aspirants initially ye mante hai ki ancient and medieval Indian History GS paper 1 ka part hota hai, jab ki ye topics only preliminary exam me include hote hai. Syllabus ke nature, range or uske extent ki understanding hona bahut important hota hai. UPSC syllabus ka analysis objective clarity provide karta hai jo kisi aspirant ko ye samjhne me capable banata hai ki kya padhna hai or kya nahi padhna hai or iske sath sath ye bhi batata hai ki padhte samay kin sources ko refer karna hai.            


ai built upsc coachings prepdev

According to coaching institutes, ye ensure karne ke liye ki upsc cse syllabus aspirants ke sath hamesha rahe unhe civil services syllabus ki ek printed copy apne paas hamesha rakhni chahiye. Candidates ke liye broad topics ko sub topics me divide karna or fir un sub topics ke liye specific sources ko refer karna bhi helpful hota hai. Is tarah se ek baar ye structure establish hone ke baad aspirants ke liye vast UPSC syllabus or exam ko samajhna kafi easy ho jata hai.


Previous years’ question papers ka analysis karne se aspirants ko complete syllabus ko ache tarike se observe karne me help milti hai. UPSC ek tough exam hai jiska ek complex syllabus hota hai isiliye UPSC syllabus memorize karna important ho jata hai. Institutes syllabus ki importance se alag use memorize karne ke methods ke bare me bhi discuss karte hai.     


Guide karte hue institutes aspirants ko syllabus ki importance batate hai or ye bhi batate hai ki syllabus ko lekar aspirants kya mistake karte hai. Agar aspirants in recommendations ko follow karte hai to UPSC ko wo ache se samajh pate hai or previous years ke questions ka wo ache se analysis kar pate hai. Memorize UPSC syllabus course ko complete karne ke baad aspirants bilkul aisa karne me capable ho sakte hai or wo bhi bas kuch hi minutes me.      


ai made upsc syllabus prepdev

Coachings ke according is long journey me first and most important strategy hoti hai micro level par UPSC syllabus ki comprehensive understanding. Hamesha UPSC syllabus se aligned rehna ek officer banne ke winning factors me se ek hota hai or sabhi UPSC toppers aisa hi mante hai. Kisi topic ke har possible aspect ko samajhne ke liye syllabus ke micro details ko samajhna bahut important hota hai. Yeh dekha gaya hai ki in micro detailing ke topics or subtopics se questions directly puche gaye hai. Extraordinary talent, successful candidates ko baki aspirants se alag nahi banata hai, balki ye jaana banata hai ki kya karna hai or kya nahi or kab karna hai? Bahut sare aspirants syllabus ko deeply analyze karne me fail ho jate hai. Syllabus ka effective use kisi aspirant ke select hone ke chances ko increase ya decrease kar sakta hai.    


Isse alag, kuch coaching institutes toh syllabus ko by heart memorize karne ki importance ke bare me bhi batate hai or aise fancy words ka use karte hai. Wo batate hai ki usually aspirants mante hai ki general studies ke papers me questions kahin se bhi or kisi bhi topic ke bare me puche ja sakte hai. Aspirants kehte hai ki GS ocean ki tarah hota hai or complete karne ke liye bahut vast hota hai etc. Jabki ye notion galat hota hai.     


ai made upsc paper

Agar koi aspirant previous years ke question papers ko dhyan se dekhega to wo dekh sakta hai ke 80% se jyada questions directly syllabus se puche gaye hai. UPSC reality me optional or general studies dono me syllabus ko strictly follow karta hai.     


Isiliye sabhi aspirants ke liye sabse important baat ye hoti hai ki jitni baar possible ho wo syllabus ko padhe or syllabus ko puri tarah se yaad rakhe. Complete syllabus ko by heart memorize karne se ek aspirant ko exam ke liye different sources ko padhte hue clear understanding milti hai. For example - Newspaper read karte samay aspirants ka focus syllabus ke un topics par hota hai jinke bare me wo apne subconscious  mind me jante hai ki wo exam ke liye relevant or important hai.


Agar aspirants syllabus ko thoroughly nahi jante hai to wo unwanted topics ko padhne me apna precious time waste kar sakte hai. Syllabus ke each topic ka pata hone se aspirants jab bhi kuch padh rahe hote hai to wo apne mind me questions create karne me or syllabus se unko link karne me capable ho jate hai.     


Agar aspirants syllabus ko ignore kar dete hai or mante hai ki questions syllabus se nahi puche jate or agar ye bhi mante hai ki general studies me questions kahin se bhi puche ja sakte hai to ye bilkul galat hai.     


Kuch institutes ke according UPSC syllabus ki deep understanding UPSC civil services exam ko crack karne ki journey me itni important hoti hai ki wo use ek crucial milestone se compare karte hai. Bahut intensity ke sath wo is baat par focus karte hai ki is exam ko successfully clear karne me capable hone ke liye, aspirants ko UPSC ke liye updated syllabus ke bare me detail me janna chahiye.     


ai made sociology books prepdev

According to almost all institutions, syllabus ka nature, range, and depth ki thorough awareness bahut critical hoti hai. UPSC ke syllabus ke analysis ko study karne se jo objective clarity aati hai, usse aspirants ye samjhne me capable ho jate hai ki wo kaun se resources hai jinhe refer kiya jana chahiye. Optional subjects ke liye ye equally applicable hota hai. Institutes ke according ye extremely helpful hota hai agar aspirants syllabus ki ek printed copy apne closet par laga lete hai. Isse ye ensure hota hai ki wo syllabus ko lekar aware rehte hai or jab bhi possible hota wo ise casually padh lete hai.     


Sirf koi specific topper ya koi specific coaching, syllabus ki importance ke respect me baat nahi karti balki sabhi institutes ise extremely important mante hai. Agar search kiya jaye toh rarely hi koi aisa institute hoga jo UPSC syllabus ko memorise karne ya uske deep analysis ke respect me na baat karta ho. Aisi possibility hai ki bahut sare aspirants ne ye observe kiya ho ke unke institue me first day jo sabse pehli advice unse share ki gayi ho wo syllabus se hi related ho.     


Syllabus ek aisi road ki tarah hota hai jis par consistently travel karne se success definitely milti hai or journey ke time isse divert hone par failures ko bhi face karna padta hai.       


In sab baton se ye to samajh me aa jata hai ki syllabus UPSC journey me sabse important guide hota hai. Par kisi ki importance tabhi samjhi ja sakti hai jab usko ignore karne ke consequences hamare samne hote hai. To kya ho agar ham syllabus ko uski due importance na de?.........


memorize upsc syllabus course prepdev


Comentarios


bottom of page